I’m still young and delightful
Posted August 3, 2017
on:- In: Poetry
- 4 Comments
Light wind adheres abound
Flowers blossom all around
Melodious chimes abound
Spring also thrives around
Where are you off to cup bearer?
Come back, and come hither
What do you see! What is it?
Hold the chalice, hold it up
Hold chalice, pour in the cup
Fill the cup and bring it hither
LO! The blossoming spring
Fragrant air is unaware of spring
Dark clouds hover in the sky
Beyond the horizon; sally in sky
The gathering crowd of drinkers
Haste to the tavern to join others,
Why doubt and derogate me
I’m weedy, don’t misjudge me
It’s yet time to be religious
I’m youthful and delightful
Talk of worship rings around
Be forgiven is feared about
Yearning is to get rewards
Sins feared of bring no reward,
What do you think holy preacher
Longing and love isn’t together?
When love awakens you
When their lure enliven you
And fragrance of passion stirs you
How can one defy? Can you?
Styles to kindle, is everywhere
Some at hand and some there
Lavishly breathe here and there
With so much appeal everywhere
How can one refuse to adhere?
You are right so is point of view
I do agree with your point of view
Yet! I’m youthful and gorgeous
Leisure walks in the mountains
Leisure walks about fountains
Melodious chant of nightingales
Lively chuckle of the damsels
If meets a being of same likes
So vanish all ails and dislikes
If destiny fails to favor anyone
Life’s pleasures leave that one
The life’s ecstatic tales of love
These bounties of lovely youth
Fantasy and allure from there
Tall tales and show from here
The mood and the ambiance
Appealing beautiful ambiance
How can I leave bubbly feel
Death is so close, yet I don’t feel
No! No, not at all, not so soon
I’m still young anddelighful
No concern of grief or relief
Not fear of position or belief
No concern of life or death
No uneasiness FOR after death
Optimism and pessimism lost
Senses lessen, thoughts lost
Everything around fades away
The lot runs out but the glass
Wine to rumble, so the glass
The party I must make livelier,
The setting be again lovelier
Hustle and bustle of life enliven
Sing a song of bloom and gloom
To make hearts cheer and doom
Everybody demands the cup bearer
To keep serving; O! Cup bearer,
I’m still young and delightful
…………………………….
HAFEEZ JALANDHARI
havā bhī ḳhush-gavār hai
guloñ pe bhī nikhār hai
tarannum-e-hazār hai
bahār pur-bahār hai
kahāñ chalā hai sāqiyā
idhar to lauT idhar to aa
are ye dekhtā hai kyā
uThā subū subū uThā
subū uThā pyāla bhar
pyāla bhar ke de idhar
chaman kī samt kar nazar
samāñ to dekh be-ḳhabar
vo kaalī kaalī badliyāñ
ufuq pe ho ga.iiñ ayaañ
vo ik hujūm-e-mai-kashāñ
hai sū-e-mai-kada ravāñ
ye kyā gumāñ hai bad-gumāñ
samajh na mujh ko nā-tavāñ
ḳhayāl-e-zohd abhī kahāñ
abhī to maiñ javān huuñ
ibādatoñ kā zikr hai
najāt kī bhī fikr hai
junūn hai savāb kā
ḳhayāl hai azaab kā
magar suno to shaiḳh jī
ajiib shai haiñ aap bhī
bhalā shabāb o āshiqī
alag hue bhī haiñ kabhī
hasīn jalva-rez hoñ
adā.eñ fitna-ḳhez hoñ
havā.eñ itr-bez hoñ
to shauq kyuuñ na tez hoñ
nigār-hā-e-fitnagar
koī idhar koī udhar
ubhārte hoñ aish par
to kyā kare koī bashar
chalo jī qissa-muḳhtasar
tumhārā nuqta-e-nazar
durust hai to ho magar
abhī to maiñ javān huuñ
ye gasht kohsār kī
ye sair jū-e-bār kī
ye bulbuloñ ke chahchahe
ye gul-ruḳhoñ ke qahqahe
kisī se mel ho gayā
to rañj o fikr kho gayā
kabhī jo baḳht so gayā
ye hañs gayā vo ro gayā
ye ishq kī kahāniyāñ
ye ras bharī javāniyāñ
udhar se mehrbāniyāñ
idhar se lan-tarāniyāñ
ye āsmān ye zamīñ
nazāra-hā-e-dil-nashīñ
inheñ hayāt-āfrīñ
bhalā maiñ chhoḌ duuñ yahīñ
hai maut is qadar qarīñ
mujhe na aa.egā yaqīñ
nahīñ nahīñ abhī nahīñ
abhī to maiñ javān huuñ
na ġham kushūd o bast kā
buland kā na past kā
na buud kā na hast kā
na vāda-e-alast kā
ummīd aur yaas gum
havās gum qayās gum
nazar se aas paas gum
hama-bajuz gilās gum
na mai meñ kuchh kamī rahe
qadah se hamdamī rahe
nashist ye jamī rahe
yahī hamā-hamī rahe
vo raag chheḌ mutribā
tarab-fazā, alam-rubā
asar sadā-e-sāz kā
jigar meñ aag de lagā
har ek lab pe ho sadā
na haath rok sāqiyā
pilā.e jā pilā.e jā
abhī to maiñ javān huuñ
August 12, 2017 at 11:58 AM
Lajawaab h poem.
LikeLiked by 1 person
August 13, 2017 at 12:24 PM
ji boht umdah hay yeh Hafeez Jalundhari sahib ki nazm
LikeLike
August 13, 2017 at 12:26 PM
Nazm I know collections of Shayri, right?
LikeLiked by 1 person